Dunia Ki Yeh Reet Purani Hai
Admi Dunia Mein Akela Aata Hai
Dunia Ki Bheerh Mein Akela Hi Reh Jata Hai
Aur Dunia Se Akela Hi Chala Jata Hai
Jesay Gulshan May Koi Phool Khilta Hai
Andhion ki Atay Hi Shakh Se Toot Parta Ta Hai
Phir Pairo Talay kuchalta Hai, Rondta Hai, Masalta Hai
Aur Andhion Ki Jatay Hi Baharon Ka Mosam Ro Parta Hai
Aur Yunhi Roo Roo Ker Fariyad Kerta Hai
Ashkoo Ko Seene Mein Piroota Hai
Her Laakt-e-Jigar Khoon Se Holi Rangta Hai
Phir Mulk, Mulk Qayamet Ka Samah Hota Hai
Aur Gulshan, Gulshan, Gul Jalta Rehta Hai
So
mere dosto Rab-ul-Kareem dunia mein apnay pyaro say qadam, qadam per
Imtihan Leta hai lekin ham sab hi ko chaiye ki hum apna emaan hamesha
mazboot rakhein taki Allah Pak hum per apni azmaish asaan kerdein is
Dunia mein aur Akhrat mein hamein kabhi tanha na chorein kyun ki dunia
mein zulm hamesha se hi kaim hai, per zulm kerne wala kabhi kaim nahin
rehta, ek na ek din to usay apnay buoy huay ka katna parta hai..
Hamein apnay naik amalo se Khuda ko Raazi rakhna chaiye aur sath hi
sath Rab-ul-Kareem se Amun ki Dua mangni chaiye, taaki Rab-ul-Kareem
hamein apnay Hifz-o-Amaan mein rakhein aur in insaniyat ki dushmano se
hamein bacha lein Ameen Sum Ameen.
No comments:
Post a Comment